_____________________________________________________________
ELLI: Oops. He-he-he
Ab yahaan se kaha jaayen hum?
Hazy figures are seen sleeping around in their silvery-white bedsheets and blankets!
BIG BOSS (Voice over): Big Boss ke ghar mein, aaj kisi ko Insaano mein chhipkaliyaan nazar aayi, ----toh kisi ki sabse mohabbat karne ki fitrat ne kar di uski khinchaayee!----------- Kisi ke pyaar bhare, mohabbat ke geet mein pad gaya rang mein bhang------aur kuchh sadasyon ke beech ho gayi, khaam-khvaah ki faaltoo hud-dang!
Jhelte Rahiye Ye Manhoos Programme! Big Baas!
Funopsis of Last Week's UN-DEKHA (Wednesday Summary).....NOT SHOWN ON TV!
SUBAH 7.15 BAJE
BIG BOSS (VOICE OVER): Yahaan
Elli aaj kuchh jaldi hi uth gayi hain, aur apni aankhein malte hue, bageeche ki
ore dheere dheere jaa rahi hain!
ELLI (Suddenly Screams in
excitement): ...Wowwwwwww! Wowwwwwww! So beautiful…wowwwwww...
Elli runs back inside house and
screams!
ELLI: Gohaaar! Gohaaar.
Jaldi-jaldi uthho---jaldi- jaldi –jaldi uthho. –Look, Garden mein Two Iguanas
are there. Do-do Iguanas hain wahaan---beegeeche mein!
GAUHAR (who is busy doing make up
so that 45 minutes later, she can appear best on TV, when 8 A.M alarm song
comes up, continues applying her smudge proof Pink shade Loreal lipstick, Lakme
rose fresh face foundation and says nonchalantly): Iggvaana? Iggvaana kya hota
hai Elli?
ELLI: Uffo. Hmmm, Lizard ka
maafik, Chhipkali ka jaisa------wait I have a pic!
(Elli opens her suitcase and
pulls out an album where some zoo pics are also there and she shows Gauhar what
an Iguana looks like.
Very excited Gauhar too comes out
running with Elli).
GAUHAR (takes one look at the ‘two
Iguanas’ and says in her dismissive Husky voice): ...Hatttt! Paagal Elli. Ye
Sangram aur Apurva hain! Neend mein kuchh bhi bad-bad karti ho. --------------Jab aapne
dekha, Sangram Apurva ko Yoga sikha raha hoga, garden mein------abhi dono Sofe pe baithe hain!
ELLI: Oops. He-he-he
GAUHAR (Conspiratorial, Husky low tone): Thats OK Elli -------------Just remember what I told
you yesterday! Is ghar mein, tum agar kisi pe bharosa kar sakti
ho------(pause)----trust kar sakto ho---------TOH (pause)---WO (pause)---MAIN
(LONG PAUSE)------HOON! SIRF MAIN---Got it?
ELLI (Buddhu baccha expressions):
Haan!
------------------------------------------------------------------------------------------------
SUBAH 10.40 BAJE
BIG BOSS (Voice Over): Yahaan Jannat
ki rasoi mein Sangram khade hain, aur unhein gher kar Kamya, Pratyusha, Ratan aur
Shilpa khade hain.
KAMYA: Sangram, aapne kam se kam
10 baar mujhe bola hai ki aap mujhe khud se jyaada chaahte hain. Bola hai ki
naheen bola?
PRATYUSHA: Sangram Ji, aapne kam
se kam 10 baar mujhe bhi bola hai ki aap mujhe kh ud se jyaada chaahte hain.
Bola hai ki naheen bola?
SANGRAM: O Ji jubaan katt ke gir
jaaye meri jo main jhutt bollun. Bilkul bolla Ji…Ek sau Per-saint bolla hai!
RATAN: Yahaan gaur karne waali
baat toh ye hai ki, yehi baat Sangram Ji ne humein bhi boli hai! Infact, kayi
baar boli hai!
SHILPA (rolls up her eyes up and
down viciously, as she hisses) : Mujhe toh KONSTTTTANTTTTLY bola hai, pehle din
se bola hai------, KONSTTTTANTTTTLY, KONSTTTTANTTTTLY, KONSTTTTANTTTTLY bola
hai!
SANGRAM: Arey haan, haan, haan!---------------
Maine aap sabko bolla ki main aap ko apne se jaadda chaahta hoon. Toh?------------Ek
insaan ek se jaadda ko apni jaan se jaadda kyun naheen chaah sakta? ----Kya
Dropadi Bheemmm ko Yudhisttttar se kam chaahti thhi? ----------Ya Dropadi ki
mohabbat Nakullll ke liye Sahdebbb, ya Arjunn se kam thhi?
ANDY (Sneaks in from behind):
Hawww kameene! ----Tune in sab ko bhi bola kya? Ki tu inko apni jaan se jyaada
chaahta hai? -------You are a luchha, you know. Ek number ka tuchha hai tu
Sangram!---Hawwww! Draupadi ko badnaam karta hai? Tu tucchha modern day Draupadaa
hai Sangram. ------------Bata doon in sabko apni private baat?
KAMYA: In sab ko bhi se kya
matlab Andy?---Haan haan, batao kya bataana chaahte ho tum!
PRATYUSHA: Haan, in sab ko bhi se
kya matlab Andy?---Haan haan, batao kya bataana chaahte ho tum!
ANDY: Arey har raat ko ye kameena
sotey time, meri tummy ke oopar haath rakh ke bolta hai,”Undie, O Undie! So
gaya kya Undie?”
SANGRAM (in panic): Chupp—Chupp
Undie---Tujhe meri kasam chupp ho jaa Undie!
ANDY: Phir ye mujhe bolta
hai,”Undie, mere yaar, phans gaya hoon Payal ke saath yaar!---- Payal ke saath
meri wo haalat hai ki Zindagi zhand hai, ---Phir bhi ghamand hai!”
SANGRAM (in sheer panic makes a
lunge at Andy): Undie ke bacche, main kehta hoon chupp ho jaa phorann---
Kamya, Pratyusha, Shilpa tightly grab
hold of Sangram’s arms and prevent him from shutting Andy’s mouth up!
Ratan jumps high but is unable to
reach Sangram’s arm level. She tries
grabbing him by waist but it is uncomfortable and she releases the grip. She
pauses to give it a quick think and finally comes up with a breathtaking
Kabaddi dive and grabs hold of Sangram’s left knee!
KAMYA: Haan Andy, aur kya bola is
Jhoote, makkaar, kameene ne?
PRATYUSHA (repeats): Bolo Andy,
aur kya bola is Jhoote, makkaar, kameene ne?
RATAN (from below): Arey jaldi
boliye Andy Ji. Ye apni taang chhudaane ke liye zor laga rahe hain! Jyaada der
naheen jakad paayenge hum inhein bhai!
ANDY: Ye roz meri tummy pe haath
rakh ke bolta hai, ,”Undie!---Undie mere yaar, phans gaya hoon Payal ke saath!
Payal ke saath meri wo haalat hai ki Zindagi zhand hai, Phir bhi ghamand hai!
-----Big Bose ke ghar mein aane ke baad samjha hoon, ki meri asli mohabbat tu
hai Undie. Tujhe toh apni jaan se jyaadda pyaar karta hoon main pagle!”……Awwwww!
Grrrrrrrrrr! Mohabbat my big, bloody left foot! Huttttttt! Jhoota, ghatiya---makkar
Sangram!
All ladies jerk aside Sangram
with a collective shriek of,”Chhhheeeeee! Thhhoooooooo!”
----------------------------------------------------------------------------------
SHAAM 8.30 BAJE:
BIG BOSS (Voice over): Yahaan
Gauhar aur Kushal, jahannum ke ek badboodaar gadde pe leyte hue hain aur
pyaar-mohabbat ke geet gaa rahe hain!
KUSHAL:
Tujhe dekha toh yeh jaana
sanam
Pyar hota hai deevana sanam
Tujhe dekha toh yeh jaana
sanam
Pyar hota hai deewana
sanam
Ab yahaan se kaha jaayen hum?
Teri baahon mein mar jaayen hum!
GAUHAR:
Tujhe dekha toh yeh jaana
sanam
Pyar hota hai deewana sanam
Tujhe dekha toh yeh jaana
sanam
Pyar hota hai deevana
sanam
Ab yahaan se kaha jaayen hum?
Teri baahon mein mar jaayen hum!
KUSHAL:
Tujhe dekha toh yeh jaana
sanam
GAUHAR:
Aankhein meri, sapne tere, Dil mera yaadein teri
KUSHAL:
Ho… mera hai kya (la la la), sab kuchh tera (la la la)
Jaan teri, saansein teri…
ARMAAN: Excuse me, excuse me! O
hello Love birds-------- I am sorry, I am sorry to interrupt. --------------Acchha
gaa rahe ho dono, but slight mistake hai.-------- Kushal, tu Lata Ji waala
portion gaa raha hai---Gauhar, aap Kumar Sanu waala portion gaa rahi ho.--------
Correct the order. It’s a male-female duet yaar.
KUSHAL: What do you mean? Maine
to Kumar Sanu waala male portion hi gaaya---
GAUHAR (grabs Kushal by arm &
comes up with a deep husky tone): Meri aawaaz pe joke kar rahe hain ye Babu.
-------Inke kehne ka matlab hai meri aawaaz aapse jyaada mardaana hai-----manly hai!
KUSHAL: Really Beyboo?
GAUHAR: Haan Baabu!
ARMAAN: O hello, mujhe koi shauq
naheen hai teri aawaaz sun-ne ka---Jo laga, wo bol diya imaandaari se-----
GAUHAR: Aap hamein Love Birds
bolne ki himmat mat keejiye…….aur Aap mujhse tu-tadaak mat keejiye—
ARMAAN: Arey tere se baat hi kaun
kar raha hai, chal-chal—phoot yahaan se---
GAUHAR: Baat karne ki tameez
naheen hai aap ko---
ARMAAN: Arey tujhse baat karna hi
kaun chahta hai, chup kar!
GAUHAR: You shut up!
ARMAAN: Chal, chal, jaa idhar se
abhi!
GAUHAR: Chaliye, chaliye, aap
Jaayiye idhar se abhi!
ARMAAN: Chupppppppppp!
Chupppppp!!!!
GAUHAR: Aap chuppppppppppp!
------------------------------------------------------------------------
Night time shot!Hazy figures are seen sleeping around in their silvery-white bedsheets and blankets!
BIG BOSS (Voice over): Big Boss ke ghar mein, aaj kisi ko Insaano mein chhipkaliyaan nazar aayi, ----toh kisi ki sabse mohabbat karne ki fitrat ne kar di uski khinchaayee!----------- Kisi ke pyaar bhare, mohabbat ke geet mein pad gaya rang mein bhang------aur kuchh sadasyon ke beech ho gayi, khaam-khvaah ki faaltoo hud-dang!
Jhelte Rahiye Ye Manhoos Programme! Big Baas!
No comments:
Post a Comment