IKKEESWA DIN SUBAHA 11.15 BAJE:

BIG BOSS : Yahaan Vrijesh Aseem ko apne Dada Ji ke bare mein bata rahe hain aur Aseem kisi chhote bacche ke tarah, aankhein badi-badi karke, Vrijesh ke Dada Ji ka kissa sun rahe hain!
(As Aseem gets excited, imagine dialogue exchange at rapid fire rate...non stop--------PLEASE READ VERY FAST!!!)!

VRIJESH: Humaare Daddu---Bade ghazab ke Shikaari thhe---

ASEEM (Wide eyed,excited): Acchha?


VRIJESH: Aur kya? ------Sher-Sherni, Bhaaloo-Bhaalooni, Hiran-Hiraniya, Tendua-Mrs. Tendua--------------sab ke peechhe jaate thhe Daddu!

ASEEM (very excited-pleading): Koi Sikaar ka kissa sunaaiye na Virjess bhaiyaa!-------------Sunaaiye na Sikaar ka kissa?

VRIJESH: Ek din ki, baat, Daddu jungle mein---aankhein uthaayi, toh kaa dekhte hain----------------KI SAAMNE EK KHOONKHAAR SHER!

ASEEM (Panic in eyes): Acchha! Sher?? Phir?

VRIJESH: Phir kaa? ----------Dono taangein neeche kar ke baith gaya---
ASEEM (Excited): Kaun Sher?

VRIJESH: NAHEEN DADDA--- PAAGAL!-------Phir dono aankhein ek dum gusse se laal---

ASEEM: Kaun ki? Dadda ki?

VRIJESH: NAHEEN SHER KI--- PAAGAL---------Phir dheere se dunaali bandook uthaayi---

ASEEM (Gasping for breath): Kaun ne? Sher ne?

VRIJESH: NAHEEN DADDA NE -----PAAGAL----Phir dheere se daayan payr (foot) aage badhaya---

ASEEM (Scared & Huffing): Kaun ne Dadda ne?

VRIJESH: NAHEEN SHER NE----- PAAGAL--------Phir poonchh ek dum tan gayi---

ASEEM (eyes popping out now): Kaun ki Dadda ki?

VRIJESH: NAHEEN SHER KI----- PAAGAL! --------------Bandook Fire karne ke liye poori tarah tayyar----

ASEEM (bulged out, scared eyes): Kaun Sher?

VRIJESH: NAHEEN DADDA----- PAAGAL!-------Phir lagaayi ek zordaar, khatarnaak chhalaang!

ASEEM(Dead scared & heart pounding): Kaun ne? Dadda ne?

VRIJESH: NAHEEN SHER NE----- PAAGAL!

ASEEM: Phir? Phir? Oh God----Phir kya hua? Kya hua Virjess bhaiyya? Phir Kya hua?

VRIJESH (Pagloo roll of eyes):


ASEEM: Arey phir kya hua?------kya hua phir?------- Sher ne chhalaang lagayi, uske baad??



VRIJESH: Phir kyaa?



















No comments:
Post a Comment