Tuesday 25 December 2012

Meri Mehbooba by Cruising Gulzar!!!


With respectful apologies to Gulzar Saab!Blushing
 (Imagine Gulzar Saab reciting the following lines, in his amazingly deep, baritone voice)''Just in case some one is not aware, Gulzar Saab is one of the best lyricist of all times that India has produced'''.At the end of Post, click on Youtube Vids and hear him reciting his own poetry in his gorgeous voice!''''''.
But first, read this ghastly work of Cruising "Gulzar"!Dead

MERI MEHBOOBA

Hare-Bhare Khet Ki fasal ki Khushboo Si, Mahek Hai tumhaare Badan Ki!
Jaise Baarish Ki pehli boondon se, Sondhi Mitti si mehak Hai Mere Watan Ki!!Clap

Woh Tumhaara Lipat-chipak ke, apni baaton ko aksar samjhaana!
Jab Koi Tumhaari Baat naa samjhe, Toh wo tumhaara Rona Gid-gidaana!Cry


Maala Tumhaari, Maano Jaise Chandan Ke Ped Se Lipta Hua Ho Koi Naag!
Adaayein- Angdaayiyaan Tumhaari,  Laga Deti  Hain Mere Tann-Mann Mein Aag!!!!Shocked

 

Blouse Mein Dekhta Hoon Main Tumko Jab-Jab, Yaad Aati Hai  Meri Lahore ki Naukraani!Dead
Nazrein Jab Bhi Jhukaa Leti Ho Tum Toh, Fauran Ban jaati Ho Har Insaan Ke Dil Ki Raani!Tongue


Jhuki Nazron Ko Jab Haule Se Uthhati ho, toh maano hota Meri Ummedon Ka Sawera!Tongue
Itraate Hue Agar Tum Ghar se jo niklo, Ghar Mein Ho Jaata Hai Mere Andhera!!Confused



Kaisi Haya Hai, Ye Kaisi Sharam hai??BlushingEmbarrassedBlushing
Pool mein tu ladki, Sabse Garam Hai!!!!!TongueTongueTongue



No comments:

Post a Comment